Tuesday, July 18, 2017

Mehfooz nahi mera dil mere pass
Kitni baar toota meri laparwahi se
Machal uthta hai bachchon ki tarah
Dimaag ko koi mauka hi nahi
Majaal hai aankhen ise ek sapna dikhaye fir main usse wo bhula sakun
 Par ab bas
Dil bachcha hai main toh nahin
Waada hai isse, ab na hi tootega, na zakhmi hoga.
Na sapne dekhega na roansa hoga
Sambhal ke ek band kothri me rakhungi ise
Jahan sirf mausiki ki mehfil hogi, mangadh kahaniyon ka jamawda hoga
Na beintehan khusi na had se zyada gam
Na sapne na intezaar
Na yakeen, na pyar, na ye ghaate ka karobaar

3 comments:

  1. Can i simply say i empathize with you? I don't know what made you write, may be due to loss but i know the feeling. TC

    ReplyDelete