Tuesday, December 4, 2018

Kahan Shahar Mera

Kis shahar ko kahoon apna
Kahan basera mera
Roz bichhati hoon khilaunon si duniya
Roz samet kar fir dhoondhti hoon naya basera

Jahan bachpan bita, kya woh hai mera shahar
Wahan koi toota khilauna tak nahi bacha mera bataur nishani

Jahan bachpan ne aankhein khol duniya dekhi, kya woh hai mera shahar
Wahan toh koi na raha mujhe jo yaad kare ya dhoondhe meri nishani

Jahan koi wada mila, kya woh hai mera shahar
Wahan toh wafa thi jaise koi ehsaan tha, aur ye chaah ki na badlein aapas me koi anmit nishani.

Nahin koi, kahin koi mera shahar
Banjaron ki qismat, aur zamindaron ka dil
Yun dhoondhne chale apna shahar
Zindagi ki shaam dhalne ko hai
Shahar ki thaur, sar chhupane door tak kisi parchhayi ki nahi nishani